Saturday 14 December 2013

Best Urdu Poetry For You

Best Urdu Poetry For You

hote hen shayed nafrat me hi pakeza rishte

wrna ab to tanse libas utarne ko log muhabat kehte hen

unhe kehna agar furst me yad krna he to na kre

ham tanha zaror hen magar fuzool to nhi hon

mout to sirf name se badnam he warna

takleef to ye zindgi b buht deti he

ye nazron se tum mere dil ko nidhal krte ho

krte to zulam ho magar kamal krte ho

buht be-kaif lamhen hen, ajeeb bojhal see zindgi he

na gham se dil behlta he na khushyan ras ati hen

aadab e wafa b sekho, ishaq ki bargah me 

faqt dil lagane se dilon me nhi bante

me kahana se laon bata???? wo bikta kaha he???

wo naseeb se jo tujhe umar bhar k lye mera kar de

hamare lehje me ye tawazan bari hi mehnat se aya

kai mizajo k dashat dekhe, kai rawayoun ki khak chani

to dhoond falak per bagh e janat, apna to aqeda he Iqbal

jis khak pe mukhlis dost milen, wo khak b janat hoti he

haiN aur bhii duniyaa meN suKhan_war bahot achchhe
kahate haiN ki "Ghalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur

dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai

giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai 

dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai

tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitiabaar nahii.n ha

hairaa.N huu.N dil ko rouu.N ki piituu.N jigar ko mai maqaduur huu.N to saath rakhuu.N nauhaagar ko mai

No comments:

Post a Comment